Modiji jo tiranga aap ne leheraya, hum sab ne saraaha hai.
Ghar ghar se nikal ke ye tiranga, Kashmir se Kanyakumari tak leheraya hai;/Har dil mein swatantrata ke garv ka ehsaas jagaya hai.
Modiji jo tiranga aap ne leheraya, hum sab ne saraaha hai.
Iss tirange se aap ne sabke dilon ko milaaya
hai;/Bharat ka tiranga har dil mein ummeed ki kiran laaya hai;/Mere desh ki dharti sona ugle, aisi aasha ko phirse jagaya hai.
Modiji jo tiranga aap ne leheraya, aaj saare vishwa mein chhaya hai.
Jaati, mazhab aur sarhad se upar uth kar, yeh tiranga kehta hai;/ Mera Bharat hamesha uncha udta rahe;/Swatantrata sainiko ne hi jalayi thi yeh mashaal;/Jo Bharat ke pachahattar saal azaadi ki hai udaan;/
Aaj yeh leher saari duniya mein chhayi hai.
Modiji jo tiranga aap ne leheraya, hum sab ne saraaha hai.
Yeh tiranga hamesha leherata rahe, nayi unchaiyan aur udaan bhar ta rahe;/Sab ke dilon mein ummeed aur asha ki kiran ko jagata rahe;/Jai Hind Jai Bharat ka nara sada goonjta rahe.
Modiji jo tiranga aap ne leheraya, hum sab ne saraaha hai.